Tuesday, March 16, 2010

kyon Hum bade ho gaye...????

Kya wo din the.... Maa ki god aur Papa ke kandhe,
aaj yaad aa raha hai sub kuch chhoota jo peeche,
rote-rote wo so jana, khud se baatein karna, kho jana,
wo Maa ka aawaz lagana, khana haathon se khilana,
wo din bhar Papa ka rasta takna, zid puri hone ka intezar karna,
kya wo din the bachpan ke suhane,

Kyon itne door sab kuch ho gaye???
aaj zid bhi apni, sapne bhi apne,
kisse kahe kya chahiye...???
manzilon ko dhundhate hue kho gaye.,
kyon itne bade hum ho gaye...?????